Search This Blog

Sunday, December 18, 2011

Doosron Ke Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch Ke Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log..
Tune Munh Kya Phera, Sabhi Sapne Huye Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log..
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log..
Wo Aankhe Chaahte Huye Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivaazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hain Log..
Sach To Sach Hai, Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot Ke Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log…....
Lamho mein jo kat jaye wo kya zindagi,
Aansuo mein jo beh jaye wo kya zindagi..
Zindagi ka to falsafa hi kuch aur hai,
Jo har kisi ko samajh aaye wo kya zindagi....
Tum Mohabbat Ka Jazba Bana Lo Mujhe,
Dil De Ke Dil Me Basa Lo Mujhe,
Meri Aashiqui Maangti Hai Tumse Sirf Itna,
Tum Dil Me Kahin Chhupa Lo Mujhe...
Ghamo Ki Barsaat Samete Baitha Hun,
Kisi Bewafa Se Dhoka Khaaye Baitha Hun..
Jaane Kab Dega Uparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Baitha Hun...

Saturday, September 17, 2011


Do kadam chalne ke liye saath maanga hai..
Bas pal-do-pal ke liye pyaar udhaar maanga hai..
Na chhupa apne gham ko tabassum ke peeche,
Maine tujhe saare ghamon ke saath maanga hai.....

Badi mehnat se meri duniya lutaayi hogi….
Meri mohabbat ki hasti bhi mitaai hogi…
La tere pairo me malham laga du….
Mere dil ko thokar maarne mein chot to aayi hogi….…
Aaj duur se hi koi salaam kar gaya,
Apni yaadon ka ghulaam kar gaya..
Apni zindagi girvi rakh kar khareeda tha jise,
Aaj wo hi hamein neelaam kar gaya......
Paane se khone ka mazaa aur hai..
Bandh aankho mein rone ka mazaa aur hai..
Aansu bane lafz, aur lafz bane ghazal,
Aur uss ghazal mein tere hone ka mazaa aur hai....

Zindagi Na Milegi Dobara ke Alfaz

1.
Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin,
Bas ankhon se hai jhaankti..
Tumse kabhi, mujhse kabhi,
Kuch lafz hain woh maangti...
Jinko pehanke honthon tak aa jaaye woh,
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh,
Lekin jo yeh ik baat hai,
Ahsas hi ahsas hai,


Khushboo si hai jaise hawa mein tairti,
Khushboo jo be-aawaaz hai..
Jiska pata tumko bhi hai,
Jiski khabar mujhko bhi hai,
Duniya se bhi chupta nahin,
Yeh jaane kaisa raaz hai.......




2.
Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab ghum ka saaya lehraya,
Jab aansoo palkon tak aya,
Jab yeh tanha dil ghabraya,
Humne dil ko yeh samjhaya,
…Dil aakhir tu kyun rota hai,
Duniya mein yunhi hota hai..


Yeh jo gehre sannate hain,
Waqt ne sabko hi baante hain..
Thoda ghum hai sabka qissa,
Thodi dhoop hai sabka hissa..
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mausam hai..
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai......




3.
Pighlay neelam sa behta hua yeh samaa,
Neeli neeli si khamoshiyaan...
Na kahin hai zameen,
Na kahin aasmaan,
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan..
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan..
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan,
Aisi tanhaiyaan,
Aur main sirf main..
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya.......





4.
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho,
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho..
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein,
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein..
Jo apni aankhon mein
Hairaaniyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum..
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum.....
Lamho mein jo kat jaye wo kya zindagi..
Aansuo mein jo beh jaye wo kya zindagi..
Zindagi ka falsafa hi kuch aur hai,
Jo har kisi ko samajh aye wo kya zindagi...!
Tum Mohabbat Ka Jazba Bana Lo Mujhe,
Dil De Ke Dil Me Basa Lo Mujhe..
Meri Aashiqi Maangti Hai Tumse Sirf Itna,
Tum Dil Me Kahin Chhupa Lo Mujhe...

Wednesday, August 31, 2011

Samjha na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bina soche hi de diya..
Sah gaye jo hum dard ko chupke se,
To humko hi patthar dil keh diya.....
Majburi kya thi unhone batayi to hoti..
Judaai ki baat yun sunaayi na hoti..
Apni kabar ki mitti bhi de dete unhe,
Meri maut ki khwahish jataayi to hoti...
Zakhma dene ka andaaz kuch aisa hai,
Zakhma de kar puchte hain ab haal kaisa hai..
Kisi ek se gila kya karna,
Saari duniya ka mijaaz ek jaisa hai !!
Palkon se beh kar jab aansu aate hain,
Aap kya jaane, aap hume kitne yaad aate hain..
Aaj bhi us mod par khade hain hum,
Jahaan aap ne kaha tha "Ruko, hum aate hain"....
Rulaane ke baad kyun hasaati hai duniya,
Jaane ke baad kyun bulaati hai duniya..
Zindagi mein kya kasar baaki reh jaati hai,
Jo marne ke baad bhi jalaati hai duniya....
Iss do pal ki zindagi mein itni tanhai kyun hai..
Logo ko humse itni ruswayi kyun hai..
Iss duniya mein insaan kam to nahi,
Phir mere sath sirf meri parchhai kyun hai....
Unke liye jab humne bhatakna chhod diya,
Yaado mein unki jab tadapna chhod diya,
Wo roye bahut aakar tab humare paas,
Jab hamare is dil ne dhadkna chhod diya.....
Insaano ke kandho par insaan ja rahe the,
Kafno mein lipte kuch armaan ja rahe the..
Jinhe mili bewafai pyaar mein,
Wafa ki talaash mein wo Kabristan ja rahe the....
Kisi ke dil mein basna bura to nahi..
Kisi ko dil me basaana khataa to nahi..
Gunaah hai ye zamaane ki nazar mein to kya hua,
Zamaane wale bhi insaan hain, koi Khuda to nahi......