Search This Blog

Saturday, September 17, 2011

Zindagi Na Milegi Dobara ke Alfaz

1.
Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin,
Bas ankhon se hai jhaankti..
Tumse kabhi, mujhse kabhi,
Kuch lafz hain woh maangti...
Jinko pehanke honthon tak aa jaaye woh,
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh,
Lekin jo yeh ik baat hai,
Ahsas hi ahsas hai,


Khushboo si hai jaise hawa mein tairti,
Khushboo jo be-aawaaz hai..
Jiska pata tumko bhi hai,
Jiski khabar mujhko bhi hai,
Duniya se bhi chupta nahin,
Yeh jaane kaisa raaz hai.......




2.
Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab ghum ka saaya lehraya,
Jab aansoo palkon tak aya,
Jab yeh tanha dil ghabraya,
Humne dil ko yeh samjhaya,
…Dil aakhir tu kyun rota hai,
Duniya mein yunhi hota hai..


Yeh jo gehre sannate hain,
Waqt ne sabko hi baante hain..
Thoda ghum hai sabka qissa,
Thodi dhoop hai sabka hissa..
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mausam hai..
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai......




3.
Pighlay neelam sa behta hua yeh samaa,
Neeli neeli si khamoshiyaan...
Na kahin hai zameen,
Na kahin aasmaan,
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan..
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan..
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan,
Aisi tanhaiyaan,
Aur main sirf main..
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya.......





4.
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho,
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho..
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein,
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein..
Jo apni aankhon mein
Hairaaniyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum..
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum.....

No comments:

Post a Comment