Search This Blog

Monday, July 30, 2012

Jagaya unhone aisa, ki aaj tak so na sake,
Rulaya unhone aisa, ke sabke samne ro bhi na sake..
Jaane kya baat thi unme,
Jabse maana unhe apna, tab se kisi ke ho na sake....
Tere pyaar mein mere sanam,
Hum khud se mulaqaat kar baithe..
Chalte chalte bas yunhi achanak,
Hum zindagi se mulaqaat kar baithe.....
Palko ke kinaare humne bhigoye hi nahi,
Woh sochte hain hum roye hi nahi..
Woh puchte hain khwabon me kise dekhte ho,
Hum hain ki ek umra se soye hi nahi...
Jalaate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
Teri zindagi main khushiyon ki roshni laane ke liye..
Seh jaate hain har chubhan ko apne pairon tale,
Teri raahon main phool bichaane ke liye...
Gam-e-ulfat main hum hadh se guzar gaye..
Ki unke ishq main hum deewane ban gaye..
Humne to sunaai thi apni daastaan-e-dil unko,
Wo zaalim samjhe gazal, aur wah wah kar gaye...
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din rat kiya karte the..
Ab un raaho se guzra nahi jata,
Jaha baith kar unka intezaar kiya karte the....

Sunday, December 18, 2011

Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan,
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan,
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan,
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahaan....
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain, Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein,
To Hanskar Koi Ghum Naa Chhupata...
Kabhi Aansu Chhupa Chhupa Ke Roye,
Kabhi Daastan-E-Ghum Suna Ke Roye..

Raat Kat-ti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taaron Ko Jaga Jaga Ke Roye..

Phir Woh Na Aaye Raat Ka Waada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Roye..

Aaj Raat Un Ke Aaney Ki Ummeed Thi Hamein,
Woh Na Aaye, Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Roye..

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Roye......
Doosron Ke Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch Ke Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log..
Tune Munh Kya Phera, Sabhi Sapne Huye Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log..
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log..
Wo Aankhe Chaahte Huye Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivaazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hain Log..
Sach To Sach Hai, Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot Ke Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log…....
Lamho mein jo kat jaye wo kya zindagi,
Aansuo mein jo beh jaye wo kya zindagi..
Zindagi ka to falsafa hi kuch aur hai,
Jo har kisi ko samajh aaye wo kya zindagi....
Tum Mohabbat Ka Jazba Bana Lo Mujhe,
Dil De Ke Dil Me Basa Lo Mujhe,
Meri Aashiqui Maangti Hai Tumse Sirf Itna,
Tum Dil Me Kahin Chhupa Lo Mujhe...
Ghamo Ki Barsaat Samete Baitha Hun,
Kisi Bewafa Se Dhoka Khaaye Baitha Hun..
Jaane Kab Dega Uparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Baitha Hun...

Saturday, September 17, 2011


Do kadam chalne ke liye saath maanga hai..
Bas pal-do-pal ke liye pyaar udhaar maanga hai..
Na chhupa apne gham ko tabassum ke peeche,
Maine tujhe saare ghamon ke saath maanga hai.....

Badi mehnat se meri duniya lutaayi hogi….
Meri mohabbat ki hasti bhi mitaai hogi…
La tere pairo me malham laga du….
Mere dil ko thokar maarne mein chot to aayi hogi….…
Aaj duur se hi koi salaam kar gaya,
Apni yaadon ka ghulaam kar gaya..
Apni zindagi girvi rakh kar khareeda tha jise,
Aaj wo hi hamein neelaam kar gaya......
Paane se khone ka mazaa aur hai..
Bandh aankho mein rone ka mazaa aur hai..
Aansu bane lafz, aur lafz bane ghazal,
Aur uss ghazal mein tere hone ka mazaa aur hai....

Zindagi Na Milegi Dobara ke Alfaz

1.
Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin,
Bas ankhon se hai jhaankti..
Tumse kabhi, mujhse kabhi,
Kuch lafz hain woh maangti...
Jinko pehanke honthon tak aa jaaye woh,
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh,
Lekin jo yeh ik baat hai,
Ahsas hi ahsas hai,


Khushboo si hai jaise hawa mein tairti,
Khushboo jo be-aawaaz hai..
Jiska pata tumko bhi hai,
Jiski khabar mujhko bhi hai,
Duniya se bhi chupta nahin,
Yeh jaane kaisa raaz hai.......




2.
Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab ghum ka saaya lehraya,
Jab aansoo palkon tak aya,
Jab yeh tanha dil ghabraya,
Humne dil ko yeh samjhaya,
…Dil aakhir tu kyun rota hai,
Duniya mein yunhi hota hai..


Yeh jo gehre sannate hain,
Waqt ne sabko hi baante hain..
Thoda ghum hai sabka qissa,
Thodi dhoop hai sabka hissa..
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mausam hai..
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai......




3.
Pighlay neelam sa behta hua yeh samaa,
Neeli neeli si khamoshiyaan...
Na kahin hai zameen,
Na kahin aasmaan,
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan..
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan..
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan,
Aisi tanhaiyaan,
Aur main sirf main..
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya.......





4.
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum...
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho,
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho..
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein,
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein..
Jo apni aankhon mein
Hairaaniyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum..
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho,
Toh zinda ho tum.....
Lamho mein jo kat jaye wo kya zindagi..
Aansuo mein jo beh jaye wo kya zindagi..
Zindagi ka falsafa hi kuch aur hai,
Jo har kisi ko samajh aye wo kya zindagi...!
Tum Mohabbat Ka Jazba Bana Lo Mujhe,
Dil De Ke Dil Me Basa Lo Mujhe..
Meri Aashiqi Maangti Hai Tumse Sirf Itna,
Tum Dil Me Kahin Chhupa Lo Mujhe...