Search This Blog

Monday, July 30, 2012

Nazro se jab nazar ka takrar hota hai,
Har mod par kisi ka intezaar hota hai..
Dil rota hai, zakham haste hain,
Isi ka naam to pyaar hota hai...
Anjaane me hum apna dil gawa baithe,
Iss pyar me kaisa dhoka kha baithe..
Unse kya gila kare, bhool hamari hi hai,
Jo bina dil waalo se dil laga baithe...
Aansu aa jaate hain aankhon mein,
Par labon pe hansi laani padti hai..
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,
Jisse karte ho, usi se chupani padti hai...
Kaise keh de ki unse milne ki chaahat nahi,
Bekarar dil ko ab bhi rahat nahi..
Bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
Kisi ko bhulane ki iss dil ko aadat nahi....
Hoth keh nahi sakte jo fasaana dil ka,
Shayad nazron se wo baat ho jaye..
Iss ummeed se karte hain intezar raat ka,
Ke shayad sapne me mulaqaat ho jaye....
Zindagi hai naadan isiliye, chup hoon..
Dard hi dard subah shaam, isiliye chup hoon..
Jee karta hai keh du zamaane se daastan apni,
Par usme aayega tera naam, isiliye chup hoon.....
Darta hu kahin main pagal na ban jaaun,
Teekhi nazar aur sunehre roop ka kaayal na ban jaaun..
Ab bas bhi kar zaalim, kuch to rehem kha mujh par,
Chali ja meri nazro se duur, kahin main shayar na ban jaaun....
Jagaya unhone aisa, ki aaj tak so na sake,
Rulaya unhone aisa, ke sabke samne ro bhi na sake..
Jaane kya baat thi unme,
Jabse maana unhe apna, tab se kisi ke ho na sake....
Tere pyaar mein mere sanam,
Hum khud se mulaqaat kar baithe..
Chalte chalte bas yunhi achanak,
Hum zindagi se mulaqaat kar baithe.....
Palko ke kinaare humne bhigoye hi nahi,
Woh sochte hain hum roye hi nahi..
Woh puchte hain khwabon me kise dekhte ho,
Hum hain ki ek umra se soye hi nahi...
Jalaate hain hum apne dil ko diye ki tarah,
Teri zindagi main khushiyon ki roshni laane ke liye..
Seh jaate hain har chubhan ko apne pairon tale,
Teri raahon main phool bichaane ke liye...
Gam-e-ulfat main hum hadh se guzar gaye..
Ki unke ishq main hum deewane ban gaye..
Humne to sunaai thi apni daastaan-e-dil unko,
Wo zaalim samjhe gazal, aur wah wah kar gaye...
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din rat kiya karte the..
Ab un raaho se guzra nahi jata,
Jaha baith kar unka intezaar kiya karte the....

Sunday, December 18, 2011

Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan,
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan,
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan,
Hume Aapki Yaad Aaye To Jaayein Kahaan....
Do Kadam To Sab Chal Lete Hain, Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein,
To Hanskar Koi Ghum Naa Chhupata...
Kabhi Aansu Chhupa Chhupa Ke Roye,
Kabhi Daastan-E-Ghum Suna Ke Roye..

Raat Kat-ti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taaron Ko Jaga Jaga Ke Roye..

Phir Woh Na Aaye Raat Ka Waada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Roye..

Aaj Raat Un Ke Aaney Ki Ummeed Thi Hamein,
Woh Na Aaye, Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Roye..

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Roye......
Doosron Ke Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch Ke Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log..
Tune Munh Kya Phera, Sabhi Sapne Huye Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log..
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log..
Wo Aankhe Chaahte Huye Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivaazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hain Log..
Sach To Sach Hai, Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot Ke Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log…....
Lamho mein jo kat jaye wo kya zindagi,
Aansuo mein jo beh jaye wo kya zindagi..
Zindagi ka to falsafa hi kuch aur hai,
Jo har kisi ko samajh aaye wo kya zindagi....
Tum Mohabbat Ka Jazba Bana Lo Mujhe,
Dil De Ke Dil Me Basa Lo Mujhe,
Meri Aashiqui Maangti Hai Tumse Sirf Itna,
Tum Dil Me Kahin Chhupa Lo Mujhe...
Ghamo Ki Barsaat Samete Baitha Hun,
Kisi Bewafa Se Dhoka Khaaye Baitha Hun..
Jaane Kab Dega Uparwala Maut Mujhe,
Khuda Ke Bharose Aas Lagaye Baitha Hun...